kal talak qane raha jo gardish-e-taqdir par
kal talak qaane rahā jo gardish-e-taqdīr par
musta.id hai aaj vo āfāq kī tasḳhīr pur
shor-o-ġhul meñ shahr ke us kī sadā bhī kho ga.ī
naaz thā jis ko ki apne nutq kī tāsīr par
jo bharī mahfil ke dil meñ raushnī phailā ga.ī
vo ḳhafā hai aaj tak merī isī taqrīr par
aur jab vo le sakā mujh se na koī intiqām
Daal dī ik ḳhaak kī muTThī mirī tasvīr par
apne hī jazbāt ke aage na kuchh us kī chale
vo jo qādir hai ḳhalāoñ kī kaThin tasḳhīr par
kyuuñ na duuñ maiñ dūsroñ ko ratjage kā mashvara
maiñ ki ḳhud nādim huuñ apne ḳhvāb kī ta.abīr par
jab se likkhā hai qasīda maiñ ne us kī shaan meñ
rashk sā aane lagā us ko mirī tahrīr par
āḳhirash vo zīnat-e-āġhosh-e-gum-nāmī huā
vo jo ḳhush hotā thā apnī khokhlī tash.hīr par
kis tarah 'betāb' us ne chhū liye barbat ke taar
haath jo rakhā huā thā qabza-e-shamshīr par
kal talak qane raha jo gardish-e-taqdir par
mustaid hai aaj wo aafaq ki tasKHir pur
shor-o-ghul mein shahr ke us ki sada bhi kho gai
naz tha jis ko ki apne nutq ki tasir par
jo bhari mahfil ke dil mein raushni phaila gai
wo KHafa hai aaj tak meri isi taqrir par
aur jab wo le saka mujh se na koi intiqam
Dal di ek KHak ki muTThi meri taswir par
apne hi jazbaat ke aage na kuchh us ki chale
wo jo qadir hai KHalaon ki kaThin tasKHir par
kyun na dun main dusron ko ratjage ka mashwara
main ki KHud nadim hun apne KHwab ki tabir par
jab se likkha hai qasida main ne us ki shan mein
rashk sa aane laga us ko meri tahrir par
aaKHirash wo zinat-e-aghosh-e-gum-nami hua
wo jo KHush hota tha apni khokhli tashhir par
kis tarah 'betab' us ne chhu liye barbat ke tar
hath jo rakha hua tha qabza-e-shamshir par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.