kal to khele tha wo gilli DanDa
kal to khele thā vo gillī DañDā
DañD-pel aaj ho gayā sañDā
laal kurtā hai ishq āshiq ko
aag meñ jaise surḳh ho kañDā
dil hai yuuñ zaḳhm-dār-e-Dās-falak
jaise hotā hai machhlī kā khañDā
sab meñ mash.hūr hai shujā.at-e-murġh
baah afzūñ kare na kyuuñ anDā
qil.a-e-charḳh par shab-e-hijrāñ
jā ke gaaḌā hai aah ne jhanDā
'mus.hafī' ġham meñ us sahī qad ke
suukh kar ho gayā hai sarkañDā
hukm hai muflisī kā muflis ko
shaam se tū charāġh kar ThanDā
kal to khele tha wo gilli DanDa
DanD-pel aaj ho gaya sanDa
lal kurta hai ishq aashiq ko
aag mein jaise surKH ho kanDa
dil hai yun zaKHm-dar-e-Das-falak
jaise hota hai machhli ka khanDa
sab mein mashhur hai shujaat-e-murgh
bah afzun kare na kyun anDa
qila-e-charKH par shab-e-hijran
ja ke gaDa hai aah ne jhanDa
'mushafi' gham mein us sahi qad ke
sukh kar ho gaya hai sarkanDa
hukm hai muflisi ka muflis ko
sham se tu charagh kar ThanDa
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 24)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.