kal tumhein yaad karta raha dosto
kal tumheñ yaad kartā rahā dosto
ai mire shahr ke lāpata dosto
baat karne kī fursat nahīñ hai tumheñ
muñh pe likkhā huā paḌh liyā dosto
us ne dariyā pe kholā jo band-e-qabā
chal paḌī sāhiloñ par havā dosto
husn kī shaan meñ kyā burā kah diyā
kyoñ lagī 'ishq kī bad-du'ā dosto
hāsil-e-guftugū thī mirī zaat hī
ek mahfil jahāñ maiñ na thā dosto
ret par naam likhte rahe sab mirā
dil pe tahrīr kab ho sakā dosto
kal tumhein yaad karta raha dosto
ai mere shahr ke lapata dosto
baat karne ki fursat nahin hai tumhein
munh pe likkha hua paDh liya dosto
us ne dariya pe khola jo band-e-qaba
chal paDi sahilon par hawa dosto
husn ki shan mein kya bura kah diya
kyon lagi 'ishq ki bad-du'a dosto
hasil-e-guftugu thi meri zat hi
ek mahfil jahan main na tha dosto
ret par nam likhte rahe sab mera
dil pe tahrir kab ho saka dosto
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.