kal us ka zikr sar-e-KHas-o-am aisa tha
kal us kā zikr sar-e-ḳhās-o-ām aisā thā
na chhup sakā ki vo māh-e-tamām aisā thā
use qarīb se dekhā to dil dhaḌakne lagā
maiñ kyā karūñ mire dil kā nizām aisā thā
hasīn thā vo bahut par qarīb-tar us ke
koī pahuñch na sakā intizām aisā thā
jo us ko dekh le ho jā.egā shikam labrez
ki us kī diid meñ shāmil ta.aam aisā thā
phir us ne khol dī chāhat kī apnī bāra-darī
ki qasr-e-ishq meñ merā ḳhirām aisā thā
jo us ke hijr meñ likkhā thā Duub kar 'ātir'
sunā gayā vo mukarrar kalām aisā thā
kal us ka zikr sar-e-KHas-o-am aisa tha
na chhup saka ki wo mah-e-tamam aisa tha
use qarib se dekha to dil dhaDakne laga
main kya karun mere dil ka nizam aisa tha
hasin tha wo bahut par qarib-tar us ke
koi pahunch na saka intizam aisa tha
jo us ko dekh le ho jaega shikam labrez
ki us ki did mein shamil taam aisa tha
phir us ne khol di chahat ki apni bara-dari
ki qasr-e-ishq mein mera KHiram aisa tha
jo us ke hijr mein likkha tha Dub kar 'atir'
suna gaya wo mukarrar kalam aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.