kal yunhi tera tazkira nikla
kal yūñhī terā tazkira niklā
phir to bātoñ kā silsila niklā
ġham hī taqdīr kā likhā niklā
jis ko chāhā vo bevafā niklā
ishq meñ bhī siyāsateñ dekhīñ
qurbatoñ meñ bhī fāsla niklā
apnā chehra hī mo'atabar paayā
jhūTā har ek aa.ina niklā
ġham-e-daurāñ kā tajziya jo kiyā
terā merā mo.āmla niklā
aa ga.ī darmiyān jab duniyā
phir na koī bhī rāsta niklā
saare āzār haiñ 'matīn' vahī
shahr bhī dasht-e-karbalā niklā
kal yunhi tera tazkira nikla
phir to baaton ka silsila nikla
gham hi taqdir ka likha nikla
jis ko chaha wo bewafa nikla
ishq mein bhi siyasaten dekhin
qurbaton mein bhi fasla nikla
apna chehra hi mo'atabar paya
jhuTa har ek aaina nikla
gham-e-dauran ka tajziya jo kiya
tera mera moamla nikla
aa gai darmiyan jab duniya
phir na koi bhi rasta nikla
sare aazar hain 'matin' wahi
shahr bhi dasht-e-karbala nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.