kal zindagi ke KHwab ki tabir mil gai
kal zindagī ke ḳhvāb kī ta.abīr mil ga.ī
thī jis kī mujh ko justujū vo hiir mil ga.ī
apnī duā pe thā mujhe kuchh is qadar yaqīn
māñgī ḳhudā se jo vahī jāgīr mil ga.ī
jo log be-vaqār se phirte the shahr meñ
mere sabab se un ko bhī tauqīr mil ga.ī
barseñ vafā ke chāñd kī kirneñ kuchh is tarah
be-nūr āñganoñ ko bhī tanvīr mil ga.ī
qirtās-e-zindagānī pe dekhā jo ġhaur se
tujh jaisī hū-ba-hū koī tasvīr mil ga.ī
hāthoñ kī ulTī sīdhī lakīroñ ko dekh kar
vo shoḳh kah rahā thā ki tahrīr mil ga.ī
kal zindagi ke KHwab ki tabir mil gai
thi jis ki mujh ko justuju wo hir mil gai
apni dua pe tha mujhe kuchh is qadar yaqin
mangi KHuda se jo wahi jagir mil gai
jo log be-waqar se phirte the shahr mein
mere sabab se un ko bhi tauqir mil gai
barsen wafa ke chand ki kirnen kuchh is tarah
be-nur aanganon ko bhi tanwir mil gai
qirtas-e-zindagani pe dekha jo ghaur se
tujh jaisi hu-ba-hu koi taswir mil gai
hathon ki ulTi sidhi lakiron ko dekh kar
wo shoKH kah raha tha ki tahrir mil gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.