kalam apna tabhi to aksar se muKHtalif hai
kalām apnā tabhī to aksar se muḳhtalif hai
jo sochte haiñ vo pesh-e-manzar se muḳhtalif hai
kahāñ se ham apnī gardishoñ kā javāz DhūñDeñ
hamārā mehvar zamīñ ke mehvar se muḳhtalif hai
isī liye to qubūliyat ke haiñ dar muqaffal
du'ā tumhārī mire muqaddar se muḳhtalif hai
tabhī to baiThe haiñ manzaroñ par jamā.e āñkheñ
jo un kā zāhir hai un ke andar se muḳhtalif hai
tarāshte haiñ jo āzarān-e-ḳhayāl aksar
vo ek paikar tumhāre paikar se muḳhtalif hai
'munīr' donoñ haiñ nīlgūñ vus'atoñ ke hāmil
magar samandar kā ḳhvāb ambar se muḳhtalif hai
kalam apna tabhi to aksar se muKHtalif hai
jo sochte hain wo pesh-e-manzar se muKHtalif hai
kahan se hum apni gardishon ka jawaz DhunDen
hamara mehwar zamin ke mehwar se muKHtalif hai
isi liye to qubuliyat ke hain dar muqaffal
du'a tumhaari mere muqaddar se muKHtalif hai
tabhi to baiThe hain manzaron par jamae aankhen
jo un ka zahir hai un ke andar se muKHtalif hai
tarashte hain jo aazaran-e-KHayal aksar
wo ek paikar tumhaare paikar se muKHtalif hai
'munir' donon hain nilgun wus'aton ke hamil
magar samandar ka KHwab ambar se muKHtalif hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.