kaleja munh ko aata hai karen tum se bayan kyunkar
kaleja muñh ko aatā hai kareñ tum se bayāñ kyūñkar
na pūchho ham-safīro ham se chhūTā āshiyāñ kyūñkar
zarā dekheñ badal jaatā hai daur-e-āsmāñ kyūñkar
kisī ke haal par hotā hai koī mehrbāñ kyūñkar
hameñ to ġham se itnī bhī nahīñ fursat ki ye socheñ
mohabbat meñ huā kartā hai koī shādmāñ kyūñkar
kisī par umr bhar kī kis tarah mashq-e-sitam tum ne
zarā socho to dil meñ aur loge imtihāñ kyūñkar
chaman meñ ek muddat ham ne mashq-e-gul-fishānī kī
qafas tak aate aate aa ga.ī tarz-e-fuġhāñ kyūñkar
jo hālat dil kī hai vo rang-e-ruḳh uḌ uḌ ke kahtā hai
chhupā.eñ ham use bhī sūrat-e-dard-e-nihāñ kyūñkar
kaleje kī tarah jis ko jagah dī ham ne siine meñ
vahī dil ban gayā hai aaj un kā ham-zabāñ kyūñkar
kisī din aa ke āñkhoñ se zarā tum dekh to lete
kiyā kartā hai koī hijr meñ āh-o-fuġhāñ kyūñkar
kaleja munh ko aata hai karen tum se bayan kyunkar
na puchho ham-safiro hum se chhuTa aashiyan kyunkar
zara dekhen badal jata hai daur-e-asman kyunkar
kisi ke haal par hota hai koi mehrban kyunkar
hamein to gham se itni bhi nahin fursat ki ye sochen
mohabbat mein hua karta hai koi shadman kyunkar
kisi par umr bhar ki kis tarah mashq-e-sitam tum ne
zara socho to dil mein aur loge imtihan kyunkar
chaman mein ek muddat hum ne mashq-e-gul-fishani ki
qafas tak aate aate aa gai tarz-e-fughan kyunkar
jo haalat dil ki hai wo rang-e-ruKH uD uD ke kahta hai
chhupaen hum use bhi surat-e-dard-e-nihan kyunkar
kaleje ki tarah jis ko jagah di hum ne sine mein
wahi dil ban gaya hai aaj un ka ham-zaban kyunkar
kisi din aa ke aankhon se zara tum dekh to lete
kiya karta hai koi hijr mein aah-o-fughan kyunkar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.