kali jo dil ki khili thi masal gai tariKH
kalī jo dil kī khilī thī masal ga.ī tārīḳh
bahār jaise hī aa.ī badal ga.ī tārīḳh
jo pau phaTī to hameñ hosh aayā raat ga.ī
fareb aaj bhī de kar nikal ga.ī tārīḳh
ik aur va.ade kā shiddat se intizār kiyā
tumhāre va.ade kī jab bhī badal ga.ī tārīḳh
bahut ġhurūr thā maazī pe aaj tak us ko
hamārī raah meñ aa.ī to jal ga.ī tārīḳh
jahāñ bhī zehn-e-rasā ne qadam uThā.e haiñ
rivāyatoñ ko ye baḌh kar kuchal ga.ī tārīḳh
kahāniyoñ ko haqīqat kā ruup de Daalā
'farīd' aap ke sheroñ meñ Dhal ga.ī tārīḳh
kali jo dil ki khili thi masal gai tariKH
bahaar jaise hi aai badal gai tariKH
jo pau phaTi to hamein hosh aaya raat gai
fareb aaj bhi de kar nikal gai tariKH
ek aur wade ka shiddat se intizar kiya
tumhaare wade ki jab bhi badal gai tariKH
bahut ghurur tha mazi pe aaj tak us ko
hamari rah mein aai to jal gai tariKH
jahan bhi zehn-e-rasa ne qadam uThae hain
riwayaton ko ye baDh kar kuchal gai tariKH
kahaniyon ko haqiqat ka rup de Dala
'farid' aap ke sheron mein Dhal gai tariKH
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.