kali ka rup chaman ko nikhaar hain hum log
kalī kā ruup chaman ko nikhār haiñ ham log
bahār ham se hai jān-e-bahār haiñ ham log
halāk-e-ranj haiñ ġham kā shikār haiñ ham log
zamāna biit gayā be-qarār haiñ ham log
shikār-e-gardish-e-lail-o-nahār kyā hote
harīf-e-gardish-e-lail-o-nahār haiñ ham log
koī kahe ġham-e-jānāñ ko kaise apnā.eñ
ki mubtalā-e-ġham-e-rozgār haiñ ham log
bisāt-e-dahr pe kuchh apnā iḳhtiyār nahīñ
ḳhudā gavāh ki be-iḳhtiyār haiñ ham log
uḌaa.e phirtī hai har-sū havā-e-dahr hameñ
havā ke saath misāl-e-ġhubār haiñ ham log
fazā-e-dasht meñ jaise ġhazāl āvāra
ravāñ ravāñ yūñhī dīvāna-vār haiñ ham log
agarche shahr bhī apnā hai mulk bhī apnā
'azīm' phir bhī ġharīb-ud-dayār haiñ ham log
kali ka rup chaman ko nikhaar hain hum log
bahaar hum se hai jaan-e-bahaar hain hum log
halak-e-ranj hain gham ka shikar hain hum log
zamana bit gaya be-qarar hain hum log
shikar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kya hote
harif-e-gardish-e-lail-o-nahaar hain hum log
koi kahe gham-e-jaanan ko kaise apnaen
ki mubtala-e-gham-e-rozgar hain hum log
bisat-e-dahr pe kuchh apna iKHtiyar nahin
KHuda gawah ki be-iKHtiyar hain hum log
uDae phirti hai har-su hawa-e-dahr hamein
hawa ke sath misal-e-ghubar hain hum log
faza-e-dasht mein jaise ghazal aawara
rawan rawan yunhi diwana-war hain hum log
agarche shahr bhi apna hai mulk bhi apna
'azim' phir bhi gharib-ud-dayar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.