kali kali ko diya baghban lahu humne
kalī kalī ko diyā bāġhbāñ lahū ham ne
kiyā hai tujh ko gulistāñ meñ surḳh-rū ham ne
ḳhudā ke vāste us be-vafā kā naam na lo
kiyā hai chāk-e-garebāñ abhī rafū ham ne
ḳhizāñ ke daaġh miTe kab guloñ ke dāman se
tujhe bhī dekh liyā mausam-e-numū ham ne
ḳhamosh rah ke tire tund-o-talḳh lahje par
badal diyā tirā andāz-e-guftugū ham ne
chaman kā rañg nikhartā hai jis ke partav se
bikher dī vo tajallī bhī chār-sū ham ne
samajh na paa.e vo ab tak qubūl-o-rad kaisā
ajiib rañg meñ kī sharh-e-ārzū ham ne
'nasīr' ḳhaam hai ab bhī ḳhayāl tauba kā
fuzūl toḌ diye sāġhar-o-subū ham ne
kali kali ko diya baghban lahu hum ne
kiya hai tujh ko gulistan mein surKH-ru hum ne
KHuda ke waste us be-wafa ka nam na lo
kiya hai chaak-e-gareban abhi rafu hum ne
KHizan ke dagh miTe kab gulon ke daman se
tujhe bhi dekh liya mausam-e-numu hum ne
KHamosh rah ke tere tund-o-talKH lahje par
badal diya tera andaz-e-guftugu hum ne
chaman ka rang nikharta hai jis ke partaw se
bikher di wo tajalli bhi chaar-su hum ne
samajh na pae wo ab tak qubul-o-rad kaisa
ajib rang mein ki sharh-e-arzu hum ne
'nasir' KHam hai ab bhi KHayal tauba ka
fuzul toD diye saghar-o-subu hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.