kali khil khil ke murjhane lagi phir
kalī khil khil ke murjhāne lagī phir
ḳhamoshī dil kī chillāne lagī phir
ḳhayāl aaya charāġhoñ ko jalā duuñ
havā kamre meñ mañDlāne lagī phir
Talī hī thī laḌā.ī ḳhair-o-shar kī
añdherī raat ġhurrāne lagī phir
khaḌī hai pyaas dariyā ke muqābil
zamīñ tārīḳh dohrāne lagī phir
kali khil khil ke murjhane lagi phir
KHamoshi dil ki chillane lagi phir
KHayal aaya charaghon ko jala dun
hawa kamre mein manDlane lagi phir
Tali hi thi laDai KHair-o-shar ki
andheri raat ghurrane lagi phir
khaDi hai pyas dariya ke muqabil
zamin tariKH dohrane lagi phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.