kali khil uThti hai dil ki tumhaara nam aate hi
kalī khil uThtī hai dil kī tumhārā naam aate hī
tumhārī yaad meñ kho jaatī huuñ maiñ shaam aate hī
bhale kitnā hī murjhāyā huā ho merā ye chehra
badal jaatī hai rangat un kā ik paiġhām aate hī
har ik ilzām jin ke sar kā apne sar liyā maiñ ne
vahī muñh pher baiThe mere sar ilzām aate hī
hamārā Thiik honā ab hameñ mumkin nahīñ lagtā
bigaḌ uThtī hai phir hālat zarā ārām aate hī
'kiran' bekār tū us ke liye aañsū bahātī hai
jo bilkul ġhair ban jaatā hai terā naam aate hī
kali khil uThti hai dil ki tumhaara nam aate hi
tumhaari yaad mein kho jati hun main sham aate hi
bhale kitna hi murjhaya hua ho mera ye chehra
badal jati hai rangat un ka ek paigham aate hi
har ek ilzam jin ke sar ka apne sar liya main ne
wahi munh pher baiThe mere sar ilzam aate hi
hamara Thik hona ab hamein mumkin nahin lagta
bigaD uThti hai phir haalat zara aaram aate hi
'kiran' bekar tu us ke liye aansu bahati hai
jo bilkul ghair ban jata hai tera nam aate hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.