kali ko gudgudati hai bahaar aahista aahista
kalī ko gudgudātī hai bahār āhista āhista
guloñ par aa rahā hai ab nikhār āhista āhista
ye dil kā dard hai is meñ sukūñ mushkil se miltā hai
zarā Thahro ki aa.egā qarār āhista āhista
lagā.e haiñ ye kis kis ne mujhe ma.alūm hai sab kuchh
karūñ kyā dil ke zaḳhmoñ kā shumār āhista āhista
surūr-e-shab rag-o-pai se chalā aaya hai āñkhoñ meñ
sahar tak ḳhud hī utregā ḳhumār āhista āhista
bas ik īmān baaqī hai kaho to ye bhī hāzir hai
maiñ dil to kar chukā tum par nisār āhista āhista
shuā.eñ husn kī aisī bikhartī haiñ pas-e-parda
ki badlī se gire jaise phuvār āhista āhista
vafā par 'fauq' merī e.atibār un ko nahīñ aaya
magar aa.egā ik din e.atibār āhista āhista
kali ko gudgudati hai bahaar aahista aahista
gulon par aa raha hai ab nikhaar aahista aahista
ye dil ka dard hai is mein sukun mushkil se milta hai
zara Thahro ki aaega qarar aahista aahista
lagae hain ye kis kis ne mujhe malum hai sab kuchh
karun kya dil ke zaKHmon ka shumar aahista aahista
surur-e-shab rag-o-pai se chala aaya hai aankhon mein
sahar tak KHud hi utrega KHumar aahista aahista
bas ek iman baqi hai kaho to ye bhi hazir hai
main dil to kar chuka tum par nisar aahista aahista
shuaen husn ki aisi bikharti hain pas-e-parda
ki badli se gire jaise phuwar aahista aahista
wafa par 'fauq' meri eatibar un ko nahin aaya
magar aaega ek din eatibar aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.