kalisa ya haram mein aur na viranon mein milta hai
kalīsā yā haram meñ aur na vīrānoñ meñ miltā hai
jo sachchā aadmī hai sirf mai-ḳhānoñ meñ miltā hai
parā.ī aag meñ jalnā nahīñ āsāñ ḳhirad-mando
ye jazba to faqat ham jaise dīvānoñ meñ miltā hai
ye be-māzī nayā ghar mas.aloñ kā ek jangal hai
sukūn-e-dil to bas bosīda dālānoñ meñ miltā hai
koī chehra mukammal hī nahīñ tasvīr kyā khīñcheñ
hamāre daur kā insāñ ka.ī ḳhānoñ meñ miltā hai
koī gūñgī kitāboñ se kahāñ tak jī ko bahlā.e
sunā hai guftugū kā lutf chaTTānoñ meñ miltā hai
kalisa ya haram mein aur na viranon mein milta hai
jo sachcha aadmi hai sirf mai-KHanon mein milta hai
parai aag mein jalna nahin aasan KHirad-mando
ye jazba to faqat hum jaise diwanon mein milta hai
ye be-mazi naya ghar masalon ka ek jangal hai
sukun-e-dil to bas bosida dalanon mein milta hai
koi chehra mukammal hi nahin taswir kya khinchen
hamare daur ka insan kai KHanon mein milta hai
koi gungi kitabon se kahan tak ji ko bahlae
suna hai guftugu ka lutf chaTTanon mein milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.