kaliyon ka tabassum ho ki tum ho ki saba ho
kaliyoñ kā tabassum ho ki tum ho ki sabā ho
is raat ke sannāTe meñ koī to sadā ho
yuuñ jism mahaktā hai havā-e-gul-e-tar se
jaise koī pahlū se abhī uTh ke gayā ho
duniyā hama-tan-gosh hai āhista se bolo
kuchh aur qarīb aao koī sun na rahā ho
yuuñ raat ko hotā hai gumāñ dil kī sadā par
jaise koī dīvār se sar phoḌ rahā ho
yuuñ terī nigāhoñ meñ asar DhūñD rahā huuñ
jaise ki tujhe dil ke dhaḌakne kā pata ho
is darja mohabbat meñ taġhāful nahīñ achchhā
ham bhī jo kabhī tum se gurezāñ hoñ to kyā ho
ham ḳhaak ke zarroñ meñ haiñ 'aḳhtar' bhī guhar bhī
tum bām-e-falak se kabhī utro to patā ho
kaliyon ka tabassum ho ki tum ho ki saba ho
is raat ke sannaTe mein koi to sada ho
yun jism mahakta hai hawa-e-gul-e-tar se
jaise koi pahlu se abhi uTh ke gaya ho
duniya hama-tan-gosh hai aahista se bolo
kuchh aur qarib aao koi sun na raha ho
yun raat ko hota hai guman dil ki sada par
jaise koi diwar se sar phoD raha ho
yun teri nigahon mein asar DhunD raha hun
jaise ki tujhe dil ke dhaDakne ka pata ho
is darja mohabbat mein taghaful nahin achchha
hum bhi jo kabhi tum se gurezan hon to kya ho
hum KHak ke zarron mein hain 'aKHtar' bhi guhar bhi
tum baam-e-falak se kabhi utro to pata ho
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 245)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.