kam-basirat azab kahte hain
kam-basīrat azaab kahte haiñ
ziist ko ham savāb kahte haiñ
ham ne ābād kar diye sahrā
log ḳhāna-ḳharāb kahte haiñ
be-ruḳhī ne hameñ kiyā ghāyal
vo vafā kā javāb kahte haiñ
ġham jo nanhā sā ik diyā Thahrā
sab use āftāb kahte haiñ
pyaar miltā hai pyaar ke badle
ham divāne kā ḳhvāb kahte haiñ
dukh kī lahroñ ko dekh kar ham to
sukh kā bahtā chanāb kahte haiñ
husn be-shak hai bevafā 'anvār'
ham vafā kī kitāb kahte haiñ
kam-basirat azab kahte hain
zist ko hum sawab kahte hain
hum ne aabaad kar diye sahra
log KHana-KHarab kahte hain
be-ruKHi ne hamein kiya ghayal
wo wafa ka jawab kahte hain
gham jo nanha sa ek diya Thahra
sab use aaftab kahte hain
pyar milta hai pyar ke badle
hum diwane ka KHwab kahte hain
dukh ki lahron ko dekh kar hum to
sukh ka bahta chanab kahte hain
husn be-shak hai bewafa 'anwar'
hum wafa ki kitab kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.