kam gham-e-motabar na ho jae
kam ġham-e-mo'tabar na ho jaa.e
zindagī muḳhtasar na ho jaa.e
koī jaatā hai paas se uTh kar
har nafas talḳh-tar na ho jaa.e
aah karte hue bhī Dartā huuñ
be-ḳhabar ko ḳhabar na ho jaa.e
uf ye un ke shabāb kā 'ālam
aa.ine ko ḳhabar na ho jaa.e
ik ḳhalish sī abhī jo dil meñ hai
soz-e-qalb-o-jigar na ho jaa.e
mauj-e-gul hai junūñ-navāz bahut
phir ḳhirad muntashar na ho jaa.e
hāsil-e-bandagī kahīñ 'naġhmī'
sajda-e-sang-e-dar na ho jaa.e
kam gham-e-mo'tabar na ho jae
zindagi muKHtasar na ho jae
koi jata hai pas se uTh kar
har nafas talKH-tar na ho jae
aah karte hue bhi Darta hun
be-KHabar ko KHabar na ho jae
uf ye un ke shabab ka 'alam
aaine ko KHabar na ho jae
ek KHalish si abhi jo dil mein hai
soz-e-qalb-o-jigar na ho jae
mauj-e-gul hai junun-nawaz bahut
phir KHirad muntashar na ho jae
hasil-e-bandagi kahin 'naghmi'
sajda-e-sang-e-dar na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.