kam hi hote hain muqaddar ke sikandar chehre
kam hī hote haiñ muqaddar ke sikandar chehre
kitne murjhā.e haiñ in chehroñ ke andar chehre
ahl-e-kashtī ko to sāhil ke hī ḳhvāb aate haiñ
taktā rahtā hai safīnoñ ke samundar chehre
qahr kyā TuuT paḌā raat ko us bastī par
jale jhulse jo nazar aate haiñ ghar ghar chehre
dil meñ ik jaltā huā tiir utar jaatā hai
jab ghaḌī bhar meñ badal jaate haiñ tevar chehre
ye nahīñ sochte qātil bhī to ho sakte haiñ
chāñd ke bhes meñ tārīk se bad-tar chehre
āsmān aur zamīñ par to nahīñ haiñ 'ḳhanda'
terī tasvīr ke chehre ke barābar chehre
kam hi hote hain muqaddar ke sikandar chehre
kitne murjhae hain in chehron ke andar chehre
ahl-e-kashti ko to sahil ke hi KHwab aate hain
takta rahta hai safinon ke samundar chehre
qahr kya TuT paDa raat ko us basti par
jale jhulse jo nazar aate hain ghar ghar chehre
dil mein ek jalta hua tir utar jata hai
jab ghaDi bhar mein badal jate hain tewar chehre
ye nahin sochte qatil bhi to ho sakte hain
chand ke bhes mein tarik se bad-tar chehre
aasman aur zamin par to nahin hain 'KHanda'
teri taswir ke chehre ke barabar chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.