kam-KHwab the auron ko jagate hue guzre
kam-ḳhvāb the auroñ ko jagāte hue guzre
ham vaqt-e-sahar Dhol bajāte hue guzre
ik jāda-e-pur-ḳhār thī dushvār thī duniyā
ushshāq magar jhūmte gaate hue guzre
har nāz-e-sabā rashk-e-chaman husn-e-mujassam
pathrā.e agar aañkh milāte hue guzre
ik ziist kī vaadī thī magar yaad nahīñ hai
aate hue guzre the ki jaate hue guzre
pahle kiyā taḳhlīq use aag se ham ne
phir ham hī use haath lagāte hue guzre
sur-tāl ko ashkāl ko alfāz meñ Dhālā
imkān ko imkān banāte hue guzre
vo jān-e-suḳhan gosh-bar-āvāz nahīñ thā
dīvār ko ash.ār sunāte hue guzre
kuchh ḳhūgar-e-duniyā to kisī ko ġham-e-yazdāñ
darvesh magar haath chhuḌāte hue guzre
sharminda-e-vus.at haiñ zamīneñ bhī ḳhalā bhī
dar dasht-o-daman ḳhaak uḌāte hue guzre
muñh rakh ke tire muñh pe tujhe saañs pilā.ī
ham jaañ se tirī jaan bachāte hue guzre
ham bhuul bhī jaa.eñ to hameñ DhūñD sake tū
raste meñ tire phuul girāte hue guzre
is chashm-e-namak-bār kī vīrān galī se
bārish meñ lagātār nahāte hue guzre
logoñ ne kiyā daur-e-junūñ ġharq-e-ibādat
'ākāsh' miyāñ khelte khāte hue guzre
kam-KHwab the auron ko jagate hue guzre
hum waqt-e-sahar Dhol bajate hue guzre
ek jada-e-pur-KHar thi dushwar thi duniya
ushshaq magar jhumte gate hue guzre
har naz-e-saba rashk-e-chaman husn-e-mujassam
pathrae agar aankh milate hue guzre
ek zist ki wadi thi magar yaad nahin hai
aate hue guzre the ki jate hue guzre
pahle kiya taKHliq use aag se hum ne
phir hum hi use hath lagate hue guzre
sur-tal ko ashkal ko alfaz mein Dhaala
imkan ko imkan banate hue guzre
wo jaan-e-suKHan gosh-bar-awaz nahin tha
diwar ko ashaar sunate hue guzre
kuchh KHugar-e-duniya to kisi ko gham-e-yazdan
darwesh magar hath chhuDate hue guzre
sharminda-e-wusat hain zaminen bhi KHala bhi
dar dasht-o-daman KHak uDate hue guzre
munh rakh ke tere munh pe tujhe sans pilai
hum jaan se teri jaan bachate hue guzre
hum bhul bhi jaen to hamein DhunD sake tu
raste mein tere phul giraate hue guzre
is chashm-e-namak-bar ki viran gali se
barish mein lagatar nahate hue guzre
logon ne kiya daur-e-junun gharq-e-ibaadat
'akash' miyan khelte khate hue guzre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.