kam nahin hum bujhte kabe se maiKHane ke tain
kam nahin hum bujhte kabe se maiKHane ke tain
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
kam nahīñ ham būjhte ka.abe se maiḳhāne ke ta.iiñ
sajda ham karte haiñ juuñ mehrāb paimāne ke ta.iiñ
hai ye dil nāseh butāñ kā jalva-gāh is se na bol
toḌ mat sañg-e-jafā se is parī-ḳhāne ke ta.iiñ
hijr meñ jiine se behtar hai halāk-e-roz-e-vasl
ye tarah kyā ḳhuub raas aa.ī hai parvāne ke ta.iiñ
lā.iye mai kartī hai ta.amīr dil-hā-e-ḳharāb
tā-abad rakhiyo ḳhudā ma.amūr maiḳhāne ke ta.iiñ
uTh gayā kahte haiñ dīvāna 'yaqīn' duniyā se haa.e
un ne kyā ābād kar rakkhā thā vīrāne ke ta.iiñ
kam nahin hum bujhte kabe se maiKHane ke tain
sajda hum karte hain jun mehrab paimane ke tain
hai ye dil naseh butan ka jalwa-gah is se na bol
toD mat sang-e-jafa se is pari-KHane ke tain
hijr mein jine se behtar hai halak-e-roz-e-wasl
ye tarah kya KHub ras aai hai parwane ke tain
laiye mai karti hai tamir dil-ha-e-KHarab
ta-abad rakhiyo KHuda mamur maiKHane ke tain
uTh gaya kahte hain diwana 'yaqin' duniya se hae
un ne kya aabaad kar rakkha tha virane ke tain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.