kam nahin ye bhi zindagi ke liye
kam nahīñ ye bhī zindagī ke liye
jaan jaa.e tirī ḳhushī ke liye
dostī ho vafā ho nafrat ho
kuchh bahāna ho zindagī ke liye
aap kī yaad kā bas ek diyā
hai bahut dil kī raushnī ke liye
vo jo māñge to jaan bhī de duuñ
jī rahā huuñ isī ḳhushī ke liye
bārhā ḳhuun kar liyā dil ko
us ke hoñToñ kī ik hañsī ke liye
aaj ke daur meñ suno 'ārif'
koī martā nahīñ kisī ke liye
kam nahin ye bhi zindagi ke liye
jaan jae teri KHushi ke liye
dosti ho wafa ho nafrat ho
kuchh bahana ho zindagi ke liye
aap ki yaad ka bas ek diya
hai bahut dil ki raushni ke liye
wo jo mange to jaan bhi de dun
ji raha hun isi KHushi ke liye
barha KHun kar liya dil ko
us ke honTon ki ek hansi ke liye
aaj ke daur mein suno 'arif'
koi marta nahin kisi ke liye
- Book : Kuchh Nazmen Kuchh Ghazalen (Pg. 135)
- Author : Arif Hasan Khan
- Publication : Arif Hasan Khan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.