kam-nigahi bhi hai KHamoshi bhi ruposhi bhi
kam-nigāhī bhī hai ḳhāmoshī bhī rūposhī bhī
kitnī ma.asūm hai ehsān-farāmoshī bhī
ham-safar tū jo nahīñ hai to ye dhaḌkā hai hameñ
thak na jaa.e kahīñ raste meñ vafā-koshī bhī
ab tū hī rakhnā mire pairāhan-e-ġham kā ḳhayāl
hosh kī tarah se rusvā na ho be-hoshī bhī
ghar meñ rahiye to sivā hotī hai vahshat 'fāḳhir'
chīḳhne lagtī hai tanhā.ī meñ ḳhāmoshī bhī
kam-nigahi bhi hai KHamoshi bhi ruposhi bhi
kitni masum hai ehsan-faramoshi bhi
ham-safar tu jo nahin hai to ye dhaDka hai hamein
thak na jae kahin raste mein wafa-koshi bhi
ab tu hi rakhna mere pairahan-e-gham ka KHayal
hosh ki tarah se ruswa na ho be-hoshi bhi
ghar mein rahiye to siwa hoti hai wahshat 'faKHir'
chiKHne lagti hai tanhai mein KHamoshi bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.