kam-nigahi ka shikwa kaisa apne ya begane se
kam-nigahī kā shikva kaisā apne yā begāne se
ab ham apne aap ko ḳhud hī lagte haiñ anjāne se
muddat guzrī Duub chukā huuñ dard kī pyāsī lahroñ meñ
zinda huuñ ye koī na jaane saañs ke aane jaane se
dasht meñ tanhā ghuum rahā huuñ dil meñ itnī aas liye
koī bagūla aa Takrā.e shāyad mujh dīvāne se
jal-marnā to sahl hai lekin jalte rahnā mushkil hai
sham.a kī itnī baat to koī jā kah de parvāne se
laakh batāyā laakh jatāyā duniyā kyā hai kaisī hai
phir bhī ye dil baaz na aayā ḳhud hī dhoke khāne se
ab to chhū kar dekh na mujh ko apnī ThanDī raakh huuñ maiñ
mumkin hai phir shole bhaḌkeñ tere haath lagāne se
log sunāte haiñ kuchh qisse mere ahd-e-javānī ke
jaise hoñ ye ḳhvāb kī bāteñ hoñ ye 'shamīm' afsāne se
kam-nigahi ka shikwa kaisa apne ya begane se
ab hum apne aap ko KHud hi lagte hain anjaane se
muddat guzri Dub chuka hun dard ki pyasi lahron mein
zinda hun ye koi na jaane sans ke aane jaane se
dasht mein tanha ghum raha hun dil mein itni aas liye
koi bagula aa Takrae shayad mujh diwane se
jal-marna to sahl hai lekin jalte rahna mushkil hai
shama ki itni baat to koi ja kah de parwane se
lakh bataya lakh jataya duniya kya hai kaisi hai
phir bhi ye dil baz na aaya KHud hi dhoke khane se
ab to chhu kar dekh na mujh ko apni ThanDi rakh hun main
mumkin hai phir shole bhaDken tere hath lagane se
log sunate hain kuchh qisse mere ahd-e-jawani ke
jaise hon ye KHwab ki baaten hon ye 'shamim' afsane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.