kam se kam itni udhaari chahiye
kam se kam itnī udhārī chāhiye
dil meñ phir se be-qarārī chāhiye
niiñd vaise bhī nahīñ aatī magar
āñkhoñ meñ do pal ḳhumārī chāhiye
har jagah mā'sūmiyat achchhī nahīñ
ab hameñ bhī hoshiyārī chāhiye
zindagī kī raah tanhā kaT rahī
saath chalne ko savārī chāhiye
bhuul jaanā to alag ik baat hai
kuchh na kuchh to yādgārī chāhiye
ye na.ī shohrat nahīñ jachtī hameñ
vo purānī ḳhāksārī chāhiye
phuul kaliyoñ se chaman ābād hai
bāġhbāñ ko phir bhī aarī chāhiye
jo kaho har baat bāhar jā rahī
kuchh tumheñ bhī rāzdārī chāhiye
jokaroñ kī bhiiḌ baḌhtī jā rahī
ab 'abhay' qābil madārī chāhiye
kam se kam itni udhaari chahiye
dil mein phir se be-qarari chahiye
nind waise bhi nahin aati magar
aankhon mein do pal KHumari chahiye
har jagah ma'sumiyat achchhi nahin
ab hamein bhi hoshiyari chahiye
zindagi ki rah tanha kaT rahi
sath chalne ko sawari chahiye
bhul jaana to alag ek baat hai
kuchh na kuchh to yaadgari chahiye
ye nai shohrat nahin jachti hamein
wo purani KHaksari chahiye
phul kaliyon se chaman aabaad hai
baghban ko phir bhi aari chahiye
jo kaho har baat bahar ja rahi
kuchh tumhein bhi raazdari chahiye
jokaron ki bhiD baDhti ja rahi
ab 'abhay' qabil madari chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.