kam se kam tazkira-e-ishq ka unwan ho jae
kam se kam tazkira-e-ishq kā unvāñ ho jaa.e
dil huā hai jo pareshāñ to pareshāñ ho jaa.e
dekh aisā na ho ai shauq-e-shahādat ki kahīñ
husn kī hastī-e-mastūr numāyāñ ho jaa.e
aap kī shān-e-karam ke to yahī shāyāñ hai
aarzū munfa.il-e-tangī-e-dāmāñ ho jaa.e
baal bikhrā.e vo aate haiñ ayādat ko mirī
kahīñ shīrāza-e-hastī na pareshāñ ho jaa.e
kam se kam tazkira-e-ishq ka unwan ho jae
dil hua hai jo pareshan to pareshan ho jae
dekh aisa na ho ai shauq-e-shahadat ki kahin
husn ki hasti-e-mastur numayan ho jae
aap ki shan-e-karam ke to yahi shayan hai
aarzu munfail-e-tangi-e-daman ho jae
baal bikhrae wo aate hain ayaadat ko meri
kahin shiraaza-e-hasti na pareshan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.