kam-suKHan main hun aap kam-amez
kam-suḳhan maiñ huuñ aap kam-āmez
dil kā paimāna ġham se hai labrez
bhīgī palkoñ se ḳhuuñ Tapakne lagā
dāman-e-dil jo ho gayā ḳhūñ-rez
laḌkhaḌāte haiñ maut ke bhī qadam
nashsha-e-zindagī hai kitnā tez
ruk ga.e qāfile bahāroñ ke
kis ke naale haiñ itne dard-angez
lab pe hai tanz bhī tabassum bhī
har adā un kī maslahat-āmez
dil kī vīrāniyoñ kā kyā hogā
zindagī tū bhī hai nashāt-angez
zabt-e-ġham ik tirī navāzish se
dāman-e-ārzū huā ḳhūñ-rez
saarī duniyā ko bhuul baiThā huuñ
terī yādeñ haiñ kitnī dil-āvez
jagmagāyā dayār-e-dil 'nayyar'
jab bhī koī huā tabassum-rez
kam-suKHan main hun aap kam-amez
dil ka paimana gham se hai labrez
bhigi palkon se KHun Tapakne laga
daman-e-dil jo ho gaya KHun-rez
laDkhaDate hain maut ke bhi qadam
nashsha-e-zindagi hai kitna tez
ruk gae qafile bahaaron ke
kis ke nale hain itne dard-angez
lab pe hai tanz bhi tabassum bhi
har ada un ki maslahat-amez
dil ki viraniyon ka kya hoga
zindagi tu bhi hai nashat-angez
zabt-e-gham ek teri nawazish se
daman-e-arzu hua KHun-rez
sari duniya ko bhul baiTha hun
teri yaaden hain kitni dil-awez
jagmagaya dayar-e-dil 'nayyar'
jab bhi koi hua tabassum-rez
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.