kamal-e-hosh hai jinko wo diwane se lagte hain
kamāl-e-hosh hai jin ko vo dīvāne se lagte haiñ
haqā.eq zindagī ke aaj afsāne se lagte haiñ
sab apne haiñ ba-zāhir jaane pahchāne se lagte haiñ
koī vaqt aa paḌe to saaf begāne se lagte haiñ
sharāfat ke libāde jab utar jaate haiñ jismoñ se
to ye gunjān shahr ābād vīrāne se lagte haiñ
bahāroñ meñ bhī gulshan kī udāsī kyoñ nahīñ jaatī
yahāñ kuchh soḳhta-jānoñ ke kāshāne se lagte haiñ
banā.e jaate haiñ insāniyat-sozī ke mansūbe
yahī ā.īna-ḳhāne ma.asiyat-ḳhāne se lagte haiñ
shu.ūr-e-zindagānī tarbiyat paatā hai sadmoñ se
havādis hausla-mandoñ ke nazrāne se lagte haiñ
bikharte TūTte ḳhvāboñ ko dil se kyā lagā rakheñ
ye aise zaḳhm haiñ jo zaḳhm bhar jaane se lagte haiñ
adā-e-sādgī bhī ek fankārī hai 'shauq' un kī
vo sab kuchh jānte haiñ lekin anjāne se lagte haiñ
kamal-e-hosh hai jin ko wo diwane se lagte hain
haqaeq zindagi ke aaj afsane se lagte hain
sab apne hain ba-zahir jaane pahchane se lagte hain
koi waqt aa paDe to saf begane se lagte hain
sharafat ke libaade jab utar jate hain jismon se
to ye gunjaan shahr aabaad virane se lagte hain
bahaaron mein bhi gulshan ki udasi kyon nahin jati
yahan kuchh soKHta-jaanon ke kashane se lagte hain
banae jate hain insaniyat-sozi ke mansube
yahi aaina-KHane masiyat-KHane se lagte hain
shuur-e-zindagani tarbiyat pata hai sadmon se
hawadis hausla-mandon ke nazrane se lagte hain
bikharte TuTte KHwabon ko dil se kya laga rakhen
ye aise zaKHm hain jo zaKHm bhar jaane se lagte hain
ada-e-sadgi bhi ek fankari hai 'shauq' un ki
wo sab kuchh jaante hain lekin anjaane se lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.