kamal-e-husn ka iqrar kar jaana hi paDta hai
kamāl-e-husn kā iqrār kar jaanā hī paḌtā hai
adā.eñ itnī kāfir hoñ to mar jaanā hī paḌtā hai
koī manzil ho majbūr-e-safar haiñ hausle vaale
guzar mushkil sahī lekin guzar jaanā hī paḌtā hai
talab meñ tez-gāmī har jagah mauzūñ nahīñ hotī
jahāñ bhī vaqt Thahrāte Thahar jaanā hī paḌtā hai
kahāñ tak nāz-bardārī tirī ai gardish-e-daurāñ
chaḌhe dariyā ko bhī ik din utar jaanā hī paḌtā hai
gulistāñ ho ki sahrā kū-e-qātil ho ki mai-ḳhāna
jidhar taqdīr le jaa.e udhar jaanā hī paḌtā hai
tire javoñ kī tābānī sambhalne hī nahīñ detī
nazar ko hosh kī sūrat bikhar jaanā hī paḌtā hai
ravāñ hai kārvān-e-zindagī lamhoñ kī sūrat meñ
bikharte TūTte shām-o-sahar jaanā hī paḌtā hai
vo jaate haiñ to saath un ke nazar tanhā nahīñ jaatī
hameñ bhī duur hamrāh-e-nazar jaanā hī paḌtā hai
kabhī hālāt is manzil pe bhī laate haiñ insāñ ko
ki sab kuchh jaan kar sab se guzar jaanā hī paḌtā hai
zamīn-e-dil kī shādābī hai amvāj-e-havādis se
bahār aa.e to gulshan ko sañvar jaanā hī paḌtā hai
yahī to 'shauq'-e-majbūrī hai apnī bazm-e-sāqī meñ
hazār inkār karte haiñ magar jaanā hī paḌtā hai
kamal-e-husn ka iqrar kar jaana hi paDta hai
adaen itni kafir hon to mar jaana hi paDta hai
koi manzil ho majbur-e-safar hain hausle wale
guzar mushkil sahi lekin guzar jaana hi paDta hai
talab mein tez-gami har jagah mauzun nahin hoti
jahan bhi waqt Thahraate Thahar jaana hi paDta hai
kahan tak naz-bardari teri ai gardish-e-dauran
chaDhe dariya ko bhi ek din utar jaana hi paDta hai
gulistan ho ki sahra ku-e-qatil ho ki mai-KHana
jidhar taqdir le jae udhar jaana hi paDta hai
tere jawon ki tabani sambhalne hi nahin deti
nazar ko hosh ki surat bikhar jaana hi paDta hai
rawan hai karwan-e-zindagi lamhon ki surat mein
bikharte TuTte sham-o-sahar jaana hi paDta hai
wo jate hain to sath un ke nazar tanha nahin jati
hamein bhi dur hamrah-e-nazar jaana hi paDta hai
kabhi haalat is manzil pe bhi late hain insan ko
ki sab kuchh jaan kar sab se guzar jaana hi paDta hai
zamin-e-dil ki shadabi hai amwaj-e-hawadis se
bahaar aae to gulshan ko sanwar jaana hi paDta hai
yahi to 'shauq'-e-majburi hai apni bazm-e-saqi mein
hazar inkar karte hain magar jaana hi paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.