Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamal-e-husn-o-sadaqat talash karta hun

Maqbool Ahmad Maqbool

kamal-e-husn-o-sadaqat talash karta hun

Maqbool Ahmad Maqbool

MORE BYMaqbool Ahmad Maqbool

    kamāl-e-husn-o-sadāqat talāsh kartā huuñ

    har ek shai meñ haqīqat talāsh kartā huuñ

    adab ki diin siyāsat ki falsafa sab meñ

    nishān-e-fikr-o-basīrat talāsh kartā huuñ

    TaToltā huuñ har ik dil amiiq nazroñ se

    ḳhulūs-o-mehr-o-mohabbat talāsh kartā huuñ

    jo rāhatoñ manāzil se ham-kanār kare

    vo rahnumā vo qayādat talāsh kartā huuñ

    maiñ apnī jehd-e-musalsal tah meñ ai 'maqbūl'

    vaqī.a ḳhvāb jannat talāsh karā huuñ

    kamal-e-husn-o-sadaqat talash karta hun

    har ek shai mein haqiqat talash karta hun

    adab ki din siyasat ki falsafa sab mein

    nishan-e-fikr-o-basirat talash karta hun

    TaTolta hun har ek dil amiq nazron se

    KHulus-o-mehr-o-mohabbat talash karta hun

    jo rahaton ki manazil se ham-kanar kare

    wo rahnuma wo qayaadat talash karta hun

    main apni jehd-e-musalsal ki tah mein ai 'maqbul'

    waqia KHwab ki jannat talash kara hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now