kamal-e-shauq ki lazzat sameT lai hun
kamāl-e-shauq kī lazzat sameT laa.ī huuñ
maiñ shahr-e-jāñ meñ tamāzat sameT laa.ī huuñ
qadam qadam pe mirā imtihāñ zarūrī hai
zamāne bhar kī mohabbat sameT laa.ī huuñ
shikasta ḳhvāboñ kā mela lagā hai āñgan meñ
maiñ likh rahī huuñ ki chāhat sameT laa.ī huuñ
yahāñ to sho.aloñ kā ambār miltā jaatā hai
maiñ mutma.in thī ki jannat sameT laa.ī huuñ
uThe haiñ saikḌoñ tūfāñ jidhar uThā.ī nazar
maiñ dil ke saath hī aafat sameT laa.ī huuñ
tamām umr kī mujh ko milī hai mazdūrī
maiñ umr-bhar kī shikāyat sameT laa.ī huuñ
ai ḳhāk-e-dil tujhe kājal banā liyā maiñ ne
ye kis qarīne se vahshat sameT laa.ī huuñ
añdherī bastī meñ jalne lage diye 'mumtāz'
maiñ jugnuoñ kī alāmat sameT laa.ī huuñ
kamal-e-shauq ki lazzat sameT lai hun
main shahr-e-jaan mein tamazat sameT lai hun
qadam qadam pe mera imtihan zaruri hai
zamane bhar ki mohabbat sameT lai hun
shikasta KHwabon ka mela laga hai aangan mein
main likh rahi hun ki chahat sameT lai hun
yahan to shoalon ka ambar milta jata hai
main mutmain thi ki jannat sameT lai hun
uThe hain saikDon tufan jidhar uThai nazar
main dil ke sath hi aafat sameT lai hun
tamam umr ki mujh ko mili hai mazduri
main umr-bhar ki shikayat sameT lai hun
ai KHak-e-dil tujhe kajal bana liya main ne
ye kis qarine se wahshat sameT lai hun
andheri basti mein jalne lage diye 'mumtaz'
main jugnuon ki alamat sameT lai hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.