kamal-e-tishnagi ki intiha hun
kamāl-e-tishnagī kī intihā huuñ
samundar huuñ magar pyāsā rahā huuñ
ba-īñ-barbādī-o-bā-sad ḳharābī
tirā ai zindagī naġhma-sarā huuñ
tujhe kyuuñ is qadar chāhā thā maiñ ne
tujhe kyuuñ bhuul jaanā chāhtā huuñ
badalte mausamoñ se jā ke pūchho
maiñ gul huuñ ḳhaar huuñ ġhuncha huuñ kyā huuñ
zamāne dekh merī kaj-kulāhī
jahāñ thā maiñ vahīñ ab bhī khaḌā huuñ
mahak uThte haiñ yādoñ ke darīche
tire baare meñ jab bhī sochtā huuñ
unhīñ rāhoñ pe chalnā kyā zarūrī
ki jin ko rauñd kar maiñ jā chukā huuñ
kamal-e-tishnagi ki intiha hun
samundar hun magar pyasa raha hun
ba-in-barbaadi-o-ba-sad KHarabi
tera ai zindagi naghma-sara hun
tujhe kyun is qadar chaha tha main ne
tujhe kyun bhul jaana chahta hun
badalte mausamon se ja ke puchho
main gul hun KHar hun ghuncha hun kya hun
zamane dekh meri kaj-kulahi
jahan tha main wahin ab bhi khaDa hun
mahak uThte hain yaadon ke dariche
tere bare mein jab bhi sochta hun
unhin rahon pe chalna kya zaruri
ki jin ko raund kar main ja chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.