kamal-e-zabt ki hogi bayan tafsir kaghaz par
kamāl-e-zabt kī hogī bayāñ tafsīr kāġhaz par
raqam kar dūñgā aisī dil-nashīñ tahrīr kāġhaz par
musavvir ne lahū apnā nichoḌā hai bahut is meñ
takallum kar rahī hai ab tirī tasvīr kāġhaz par
vo jis ne umr bhar dekhā nahīñ hai jang kā maidāñ
bahut ḳhush hai banā kar vo bhī ik shamshīr kāġhaz par
bahut mushkil hai tujh ko maiñ zamāne se chhupā pā.ūñ
mire ash.ār karte haiñ tirī tash.hīr kāġhaz par
abhī kitne mahāzoñ par vatan ko jang laḌnī hai
ye leader kar rahe haiñ dekhiye taqrīr kāġhaz par
sar āñkhoñ par mire ash.ār rakhte haiñ dīvāne log
junūñ kī mil rahī hai mujh ko ye tauqīr kāġhaz par
tasalsul jaarī hai sher-o-suḳhan kā āj-kal 'bismil'
nazar aa.ī hai ḳhvāboñ kī mujhe ta.abīr kāġhaz par
kamal-e-zabt ki hogi bayan tafsir kaghaz par
raqam kar dunga aisi dil-nashin tahrir kaghaz par
musawwir ne lahu apna nichoDa hai bahut is mein
takallum kar rahi hai ab teri taswir kaghaz par
wo jis ne umr bhar dekha nahin hai jang ka maidan
bahut KHush hai bana kar wo bhi ek shamshir kaghaz par
bahut mushkil hai tujh ko main zamane se chhupa paun
mere ashaar karte hain teri tashhir kaghaz par
abhi kitne mahazon par watan ko jang laDni hai
ye leader kar rahe hain dekhiye taqrir kaghaz par
sar aankhon par mere ashaar rakhte hain diwane log
junun ki mil rahi hai mujh ko ye tauqir kaghaz par
tasalsul jari hai sher-o-suKHan ka aaj-kal 'bismil'
nazar aai hai KHwabon ki mujhe tabir kaghaz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.