kamal-e-zabt ko yaksar bhi aazmana nahin
kamāl-e-zabt ko yaksar bhī āzmānā nahīñ
tabāh kījiye chup-chāp par jatānā nahīñ
tū shahr-e-dil meñ nayā hai so mashvara sun le
ziyāda gahre marāsim yahāñ banānā nahīñ
chalā gayā hai magar ye sabaq sikhā gayā hai
taras dobāra kisī dil-zada pe khānā nahīñ
kuredte hue qismat ke band tah-ḳhāne
lage haiñ saañp mire haath par ḳhazāna nahīñ
ab is maqām se raste judā haiñ tere mire
havāle rab ke chale jaao aur bhulānā nahīñ
supurdagī to baḌā mas.ala nahīñ lekin
harīm-e-zāt meñ ḳhud merā ānā-jānā nahīñ
bachāo us ko miyāñ vasl kī mashaqqat se
ye ishq apnī tabī.at meñ āmiyāna nahīñ
kamal-e-zabt ko yaksar bhi aazmana nahin
tabah kijiye chup-chap par jatana nahin
tu shahr-e-dil mein naya hai so mashwara sun le
ziyaada gahre marasim yahan banana nahin
chala gaya hai magar ye sabaq sikha gaya hai
taras dobara kisi dil-zada pe khana nahin
kuredte hue qismat ke band tah-KHane
lage hain sanp mere hath par KHazana nahin
ab is maqam se raste juda hain tere mere
hawale rab ke chale jao aur bhulana nahin
supurdagi to baDa masala nahin lekin
harim-e-zat mein KHud mera aana-jaana nahin
bachao us ko miyan wasl ki mashaqqat se
ye ishq apni tabiat mein aamiyana nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.