kamal taza bahane se ye ghazal hui hai
kamāl taaza bahāne se ye ġhazal huī hai
kisī kī yaad ke aane se ye ġhazal huī hai
nahīñ hai kuchh bhī magar mo.ajiza hai ilhāmī
ki mere jaise divāne se ye ġhazal huī hai
guloñ ko aab lagāne kā hai samar ḳhushbū
suḳhan kā baaġh sajāne se ye ġhazal huī hai
tumhāre chhoḌ ke jaane se vo ġhazal huī thī
tumhāre lauT ke aane se ye ġhazal huī hai
'anīs'-o-'ġhālib'-o-'saudā' ke hai tufail sabhī
unhī ko sunñe sunāne se ye ġhazal huī hai
liyā hai ham ne tirī chashm se taġhazzul aur
isī pe misra lagāne se ye ġhazal huī hai
kamal taza bahane se ye ghazal hui hai
kisi ki yaad ke aane se ye ghazal hui hai
nahin hai kuchh bhi magar moajiza hai ilhami
ki mere jaise diwane se ye ghazal hui hai
gulon ko aab lagane ka hai samar KHushbu
suKHan ka bagh sajaane se ye ghazal hui hai
tumhaare chhoD ke jaane se wo ghazal hui thi
tumhaare lauT ke aane se ye ghazal hui hai
'anis'-o-'ghaalib'-o-'sauda' ke hai tufail sabhi
unhi ko sunne sunane se ye ghazal hui hai
liya hai hum ne teri chashm se taghazzul aur
isi pe misra lagane se ye ghazal hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.