Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kamand-e-halqa-e-guftar toD di maine

Tanveer Ahmad Alvi

kamand-e-halqa-e-guftar toD di maine

Tanveer Ahmad Alvi

MORE BYTanveer Ahmad Alvi

    kamand-e-halqa-e-guftār toḌ maiñ ne

    ki mohr-e-dast-e-qalamkār toḌ maiñ ne

    rivāyatoñ ko salīboñ se kar diyā āzād

    yahī rasan to sar-e-dār toḌ maiñ ne

    ye mere haath haiñ aur be-shanāḳht ab bhī nahīñ

    ye aur baat hai talvār toḌ maiñ ne

    safīne ko maiñ sho.ala dikhā ke niklā thā

    jo apne haath se patvār toḌ maiñ ne

    tahakkumāna adā aur faisle dil ke

    kamān-e-ābru-e-ḳham-dār toḌ maiñ ne

    girah girah jo kahīñ aur rishta rishta kahīñ

    ye rasm-e-sub.ha-o-zunnār toḌ maiñ ne

    vo dā.eroñ se jo bāhar na aa sake 'tanvīr'

    vo rasm-e-gardish-e-parkār toḌ maiñ ne

    kamand-e-halqa-e-guftar toD di main ne

    ki mohr-e-dast-e-qalamkar toD di main ne

    riwayaton ko salibon se kar diya aazad

    yahi rasan to sar-e-dar toD di main ne

    ye mere hath hain aur be-shanaKHt ab bhi nahin

    ye aur baat hai talwar toD di main ne

    safine hi ko main shoala dikha ke nikla tha

    jo apne hath se patwar toD di main ne

    tahakkumana ada aur faisle dil ke

    kaman-e-abru-e-KHam-dar toD di main ne

    girah girah jo kahin aur rishta rishta kahin

    ye rasm-e-subha-o-zunnar toD di main ne

    wo daeron se jo bahar na aa sake 'tanwir'

    wo rasm-e-gardish-e-parkar toD di main ne

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 185)
    • Author : Farooq Argali
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now