kami hai kaun si ghar mein dikhane lag gae hain
kamī hai kaun sī ghar meñ dikhāne lag ga.e haiñ
charāġh aur añdherā baḌhāne lag ga.e haiñ
ye e'timād bhī merā diyā huā hai tujhe
jo mere mashvare be-kār jaane lag ga.e haiñ
maiñ itnā va.ada-farāmosh bhī nahīñ huuñ ki aap
mire libās pe girheñ lagāne lag ga.e haiñ
vo pahle tanhā ḳhazāne ke ḳhvāb dekhtā thā
ab apne haath bhī naqshe purāne lag ga.e haiñ
fazā badal ga.ī andar se ham parindoñ kī
jo bol tak nahīñ sakte the gaane lag ga.e haiñ
kahīñ hamārā talātum thame to faisla ho
ham apnī mauj meñ kyā kyā bahāne lag ga.e haiñ
nahīñ ba.iid ki jañgal meñ shaam paḌ jaa.e
ham ek peḌ ko rasta batāne lag ga.e haiñ
kami hai kaun si ghar mein dikhane lag gae hain
charagh aur andhera baDhane lag gae hain
ye e'timad bhi mera diya hua hai tujhe
jo mere mashware be-kar jaane lag gae hain
main itna wada-faramosh bhi nahin hun ki aap
mere libas pe girhen lagane lag gae hain
wo pahle tanha KHazane ke KHwab dekhta tha
ab apne hath bhi naqshe purane lag gae hain
faza badal gai andar se hum parindon ki
jo bol tak nahin sakte the gane lag gae hain
kahin hamara talatum thame to faisla ho
hum apni mauj mein kya kya bahane lag gae hain
nahin baid ki jangal mein sham paD jae
hum ek peD ko rasta batane lag gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.