kamre mein aur na kamre ke bahar talash kar
kamre meñ aur na kamre ke bāhar talāsh kar
apne ko ab to apne hī andar talāsh kar
sāhil se tīrgī ko khaḌā dekhtā hai kyā
jā jā ke raushnī kā samundar talāsh kar
sūrat-garī ke vāste patthar nahīñ haiñ kam
hai DhūñDhnā to ab koī aazar talāsh kar
taskīn ek lamhe kī ḳhātir hī mil sake
aisī koī jagah dil-e-muztar talāsh kar
is shahr meñ to husn kī kirneñ haiñ har taraf
āñkheñ na ḳhīra hoñ vahī manzar talāsh kar
tū hukmrān-e-vaqt hai phir fikr kyā tujhe
qātil chhupā hai shahr meñ ghar ghar talāsh kar
'firdaus' ġham na kar ki judā ho gayā koī
album uThā hasīn sā paikar talāsh kar
kamre mein aur na kamre ke bahar talash kar
apne ko ab to apne hi andar talash kar
sahil se tirgi ko khaDa dekhta hai kya
ja ja ke raushni ka samundar talash kar
surat-gari ke waste patthar nahin hain kam
hai DhunDhna to ab koi aazar talash kar
taskin ek lamhe ki KHatir hi mil sake
aisi koi jagah dil-e-muztar talash kar
is shahr mein to husn ki kirnen hain har taraf
aankhen na KHira hon wahi manzar talash kar
tu hukmran-e-waqt hai phir fikr kya tujhe
qatil chhupa hai shahr mein ghar ghar talash kar
'firdaus' gham na kar ki juda ho gaya koi
album uTha hasin sa paikar talash kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.