kamre mein thi KHaraaton ki khuD khuD mutawatir
kamre mein thi KHaraaton ki khuD khuD mutawatir
Syed Salman Gilani
MORE BYSyed Salman Gilani
kamre meñ thī ḳharāToñ kī khuḌ khuḌ mutavātir
sāñseñ tirī bajtī raheñ phuḌ phuḌ mutavātir
sote meñ bhī taktī rahī laḌne ke tū sapne
thī niiñd kī hālat meñ bhī buḌ buḌ mutavātir
kukkaḌ koī kartā rahā tang us ko musalsal
kukḌī tirī kartī rahī kuḌ kuḌ mutavātir
shāyad mujhe kah de ki ruko halva to khā jaao
hasrat se maiñ taktā rahā muḌ muḌ mutavātir
kyā DhiiT muqarrir thā jo khātā rahā hañs hañs
chhittar the ki paḌte rahe uḌ uḌ mutavātir
thī us kī naḌī muñh meñ lagātār sahar tak
suntā rahā huqqe kī maiñ guḌ guḌ mutavātir
mat pūchhiye saḌ saḌ ke maiñ hotā rahā ko.elā
jab maiñ ne sunī chaa.e kī suḌ suḌ mutavātir
ye daur-e-vabā hai are 'gīlānī' jī parhez
mat saath mire baiThiye juḌ juḌ mutavātir
kamre mein thi KHaraTon ki khuD khuD mutawatir
sansen teri bajti rahen phuD phuD mutawatir
sote mein bhi takti rahi laDne ke tu sapne
thi nind ki haalat mein bhi buD buD mutawatir
kukkaD koi karta raha tang us ko musalsal
kukDi teri karti rahi kuD kuD mutawatir
shayad mujhe kah de ki ruko halwa to kha jao
hasrat se main takta raha muD muD mutawatir
kya DhiT muqarrir tha jo khata raha hans hans
chhittar the ki paDte rahe uD uD mutawatir
thi us ki naDi munh mein lagatar sahar tak
sunta raha huqqe ki main guD guD mutawatir
mat puchhiye saD saD ke main hota raha koela
jab main ne suni chae ki suD suD mutawatir
ye daur-e-waba hai are 'gilani' ji parhez
mat sath mere baiThiye juD juD mutawatir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.