kanar-e-chashm se abru tak aa gaya kajal
kanār-e-chashm se abrū tak aa gayā kājal
ki aaj sehn-e-haram meñ utar ga.e bādal
nigāh-e-shauq ga.ī jab bhī ḳhush-libāsoñ tak
durust ho ga.iiñ zulfeñ sañvar ga.e āñchal
na pūchh husn ke andesha-hā-e-rusvā.ī
zahe junūñ ki jise yaad maslahat na mahal
magar kisī se numā.indagī-e-haq na huī
sanam-kade ne tarāshe hazār lāt-o-hubal
ba-sad-nashāt haiñ vo mujh pe mehrbāñ 'mānī'
nazar nazar meñ tarāna nafas nafas meñ ġhazal
kanar-e-chashm se abru tak aa gaya kajal
ki aaj sehn-e-haram mein utar gae baadal
nigah-e-shauq gai jab bhi KHush-libason tak
durust ho gain zulfen sanwar gae aanchal
na puchh husn ke andesha-ha-e-ruswai
zahe junun ki jise yaad maslahat na mahal
magar kisi se numaindagi-e-haq na hui
sanam-kade ne tarashe hazar lat-o-hubal
ba-sad-nashat hain wo mujh pe mehrban 'mani'
nazar nazar mein tarana nafas nafas mein ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.