kanar-e-chashm se dekha hai KHauf khate hue
kanār-e-chashm se dekhā hai ḳhauf khāte hue
laraztī Doltī duniyā ko Duub jaate hue
kisī ne ham se na pūchhā hamāre ḳhvāb kā rang
ye rang rang ke parcham hameñ thamāte hue
hai shor-ḳhāna-e-duniyā galī ke nukkaḌ par
maiñ kaan band hī rakhtā huuñ āte-jāte hue
koī to aa ke ḳhabar le ki bujhtā jaatā hai
faqīr shab ke añdhere meñ din milāte hue
tumhāre paañv jame haiñ so tum na samjhoge
hayāt kaise guzartī hai laḌkhaḌāte hue
bhalā ho māh-e-muhabbat kī nūr-pāshī kā
ham aise log bhī jiite haiñ jagmagāte hue
maiñ dard-e-hijr kī shiddat se ḳhuub vāqif huuñ
so aasrā tumheñ detā huuñ Dagmagāte hue
kabhī-kabhār saḌak par maiñ ḳhud se miltā huuñ
kisī ko chhoḌ ke aate kisī ko laate hue
kanar-e-chashm se dekha hai KHauf khate hue
larazti Dolti duniya ko Dub jate hue
kisi ne hum se na puchha hamare KHwab ka rang
ye rang rang ke parcham hamein thamate hue
hai shor-KHana-e-duniya gali ke nukkaD par
main kan band hi rakhta hun aate-jate hue
koi to aa ke KHabar le ki bujhta jata hai
faqir shab ke andhere mein din milate hue
tumhaare panw jame hain so tum na samjhoge
hayat kaise guzarti hai laDkhaDate hue
bhala ho mah-e-muhabbat ki nur-pashi ka
hum aise log bhi jite hain jagmagate hue
main dard-e-hijr ki shiddat se KHub waqif hun
so aasra tumhein deta hun Dagmagate hue
kabhi-kabhaar saDak par main KHud se milta hun
kisi ko chhoD ke aate kisi ko late hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.