kar chuke nauhe bahut guzre zamane ke liye
kar chuke nauhe bahut guzre zamāne ke liye
kuchh na.e shahroñ ke dukh bhī haiñ sunāne ke liye
is tarah tezī se bhāgā jā rahā hai har koī
jaise chhupnā ho kahīñ ḳhud ko bachāne ke liye
ek lamhe ke liye bhī ḳhud se ham na mil sake
zindagī thī shahr vāloñ ko dikhāne ke liye
thī ḳhabar sastī milegī aaj nafrat us jagah
ḳhalq TuuTī hai muqaddar āzmāne ke liye
kaun suntā thā nagar ke shor meñ dhīmī sadā
dil se uThtī thiiñ navā.eñ Duub jaane ke liye
kar chuke nauhe bahut guzre zamane ke liye
kuchh nae shahron ke dukh bhi hain sunane ke liye
is tarah tezi se bhaga ja raha hai har koi
jaise chhupna ho kahin KHud ko bachane ke liye
ek lamhe ke liye bhi KHud se hum na mil sake
zindagi thi shahr walon ko dikhane ke liye
thi KHabar sasti milegi aaj nafrat us jagah
KHalq TuTi hai muqaddar aazmane ke liye
kaun sunta tha nagar ke shor mein dhimi sada
dil se uThti thin nawaen Dub jaane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.