kar chuki gham se sarfaraaz mujhe
kar chukī ġham se sarfarāz mujhe
bhuul jā ai nigāh-e-nāz mujhe
phuuT jaa.eñ na aable dil ke
na satā mere ġham-navāz mujhe
kab tak āḳhir lahū rulā.egā
terā husn-e-karishma-sāz mujhe
kaun ab ḳhaak chhāne dar-dar kī
khīñch le naqsh-e-pā-e-nāz mujhe
rag-e-jāñ se qarīb ho ke bhī
na kiyā āshnā-e-rāz mujhe
kaun apnā hai kaun begāna
haañ kabhī thā ye imtiyāz mujhe
ai 'shafaq' un kī be-niyāzī ne
kar diyā ḳhud se be-niyāz mujhe
kar chuki gham se sarfaraaz mujhe
bhul ja ai nigah-e-naz mujhe
phuT jaen na aable dil ke
na sata mere gham-nawaz mujhe
kab tak aaKHir lahu rulaega
tera husn-e-karishma-saz mujhe
kaun ab KHak chhane dar-dar ki
khinch le naqsh-e-pa-e-naz mujhe
rag-e-jaan se qarib ho ke bhi
na kiya aashna-e-raaz mujhe
kaun apna hai kaun begana
han kabhi tha ye imtiyaz mujhe
ai 'shafaq' un ki be-niyazi ne
kar diya KHud se be-niyaz mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.