kar de muaf mujhko wo aisa main kya karun
kar de mu'āf mujh ko vo aisā maiñ kyā karūñ
sar nīche kar ke ḳhud ko maiñ ulTā khaḌā karūñ
paḌhne ko she'r de na jo ustād kyā karūñ
'ġhālib' kī ġhazleñ ḳhuub churā kar paḌhā karūñ
ik maiñ hī kyoñ jahāñ meñ kisī se vafā karūñ
maiñ to banā.ūñ yaar banā ke daġhā karūñ
suntā huuñ mere ġham meñ vo dīvānī ho ga.ī
kūche meñ us ke jā.ūñ kisī se pata karūñ
vo apnā ghar basā ke bahut ḳhush hai ġhair se
chal ke ḳhushī kā saarā mazā kirkirā karūñ
mujh ko sharīk-e-zindagī ik aur de ḳhudā
biivī ke paas baiTh ke aisī du'ā karūñ
kar de mu'af mujh ko wo aisa main kya karun
sar niche kar ke KHud ko main ulTa khaDa karun
paDhne ko she'r de na jo ustad kya karun
'ghaalib' ki ghazlen KHub chura kar paDha karun
ek main hi kyon jahan mein kisi se wafa karun
main to banaun yar bana ke dagha karun
sunta hun mere gham mein wo diwani ho gai
kuche mein us ke jaun kisi se pata karun
wo apna ghar basa ke bahut KHush hai ghair se
chal ke KHushi ka sara maza kirkira karun
mujh ko sharik-e-zindagi ek aur de KHuda
biwi ke pas baiTh ke aisi du'a karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.