kar duaen ki duaon mein asar hota hai
kar duā.eñ ki duāoñ meñ asar hotā hai
mehnatī haath ke hisse meñ samar hotā hai
ab faqīroñ ko vahī Taal diyā karte haiñ
māl-o-daulat se bharā jin kā bhī ghar hotā hai
aadhā paanī ho ghaḌe meñ to chhalaktā hai bahut
jhuk hī jaatā hai jo phaldār shajar hotā hai
in chaTānoñ ko badal detā hai fan-pāroñ meñ
mehrbāñ jin pe bhī vo jān-e-hunar hotā hai
muntazir baiThe haiñ raste meñ bichhā kar āñkheñ
dekhnā ye hai ki kab un kā guzar hotā hai
zulm kī aag ko itnā na havā do 'anjum'
kaañp uThtī hai zamīñ zulm agar hotā hai
kar duaen ki duaon mein asar hota hai
mehnati hath ke hisse mein samar hota hai
ab faqiron ko wahi Tal diya karte hain
mal-o-daulat se bhara jin ka bhi ghar hota hai
aadha pani ho ghaDe mein to chhalakta hai bahut
jhuk hi jata hai jo phaldar shajar hota hai
in chaTanon ko badal deta hai fan-paron mein
mehrban jin pe bhi wo jaan-e-hunar hota hai
muntazir baiThe hain raste mein bichha kar aankhen
dekhna ye hai ki kab un ka guzar hota hai
zulm ki aag ko itna na hawa do 'anjum'
kanp uThti hai zamin zulm agar hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.