kar gae ashk meri aankh ko jal-thal kya kya
kar ga.e ashk mirī aañkh ko jal-thal kyā kyā
ab ke barsā hai tirī yaad kā bādal kyā kyā
jis taraf dekhiye ik qaus-e-quzah hai raqsāñ
rañg bhartā hai fazā meñ tirā āñchal kyā kyā
tū to chup-chāp thā lekin tujhe ma.alūm nahīñ
kah gayā merī nazar se tirā kājal kyā kyā
shahr-e-saffāk kī be-dard guzargāhoñ meñ
jagmagāte haiñ charāġh-e-sar-e-maqtal kyā kyā
kis liye jaa.eñ bhalā dasht ko ham dīvāne
shahr hī bante chale jaate haiñ jañgal kyā kyā
ab bhī har moḌ pe ik tishna-labī hai 'betāb'
yuuñ to is shahr pe barsā kiye bādal kyā kiyā
kar gae ashk meri aankh ko jal-thal kya kya
ab ke barsa hai teri yaad ka baadal kya kya
jis taraf dekhiye ek qaus-e-quzah hai raqsan
rang bharta hai faza mein tera aanchal kya kya
tu to chup-chap tha lekin tujhe malum nahin
kah gaya meri nazar se tera kajal kya kya
shahr-e-saffak ki be-dard guzargahon mein
jagmagate hain charagh-e-sar-e-maqtal kya kya
kis liye jaen bhala dasht ko hum diwane
shahr hi bante chale jate hain jangal kya kya
ab bhi har moD pe ek tishna-labi hai 'betab'
yun to is shahr pe barsa kiye baadal kya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.