kar gae itna nikamma tere ehsan hum ko
kar ga.e itnā nikammā tire ehsāñ ham ko
fā.ede se bhī ziyāda huā nuqsāñ ham ko
mai-kashī se hameñ ye fā.eda hai ai zāhid
lagne lagte haiñ sabhī kaam hī āsāñ ham ko
kaun nuqsān uThātā hai usūloñ ke liye
dīn-o-īmān se baḌh kar haiñ dil-o-jāñ ham ko
ham se nāchīz bhī rakhte haiñ ye ḳhvāhish dil meñ
koī samjhe hameñ aaqā koī sultāñ ham ko
aaj pul bāñdh rahe haiñ vahī tārīfoñ ke
zindagī bhar jo samajhte rahe nādāñ ham ko
ḳhud-baḳhud DhūñDegī rasta koī rahmat us kī
raas aa jā.egī ḳhud gardish-e-daurāñ ham ko
fikr-e-fardā se baḌā rog nahīñ koī bhī
umr bhar rakhtī hai bekār pareshāñ ham ko
dil meñ hai dard tirā fikr tirī pyaar tirā
kaise lagtā na ye vīrāna gulistāñ ham ko
kar gae itna nikamma tere ehsan hum ko
faede se bhi ziyaada hua nuqsan hum ko
mai-kashi se hamein ye faeda hai ai zahid
lagne lagte hain sabhi kaam hi aasan hum ko
kaun nuqsan uThata hai usulon ke liye
din-o-iman se baDh kar hain dil-o-jaan hum ko
hum se nachiz bhi rakhte hain ye KHwahish dil mein
koi samjhe hamein aaqa koi sultan hum ko
aaj pul bandh rahe hain wahi tarifon ke
zindagi bhar jo samajhte rahe nadan hum ko
KHud-baKHud DhunDegi rasta koi rahmat us ki
ras aa jaegi KHud gardish-e-dauran hum ko
fikr-e-farda se baDa rog nahin koi bhi
umr bhar rakhti hai bekar pareshan hum ko
dil mein hai dard tera fikr teri pyar tera
kaise lagta na ye virana gulistan hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.