kar gai gul-tab rangon ki farawani hamein
kar ga.ī gul-tāb rañgoñ kī farāvānī hameñ
nuur sā rañg de gayā shauq-e-ġhazal-rānī hameñ
dāman-e-dil be-zamīrī se bachā paa.e na ham
lag gayā āḳhir ko shahr-e-ġhair kā paanī hameñ
muft meñ baiThe biThā.e saarī duniyā dekh lī
mil na paa.ī thī kabhī aisī tan-āsānī hameñ
ḳhud-pasandī dekhī terī ḳhud-sarī bhī dekh lī
aur kyā dikhlā.egā ai dushman-e-jānī hameñ
terī marzī ho to chakh leñ apnī marzī kā maza
zindagī kar lene de thoḌī sī man-mānī hameñ
zindagī par band ho kar rah ga.e haiñ rāste
kis jagah le aa.ī hai is dil kī man-mānī hameñ
bāvajūd is ke parāyoñ ke na dil ThanDe hue
be-tarah mahñgī paḌī apnoñ kī qurbānī hameñ
yuuñ to ghar vaale bulāyā karte haiñ abdul-hasīb
vaise duniyā kahtī hai 'parvez'-rahmānī hameñ
kar gai gul-tab rangon ki farawani hamein
nur sa rang de gaya shauq-e-ghazal-rani hamein
daman-e-dil be-zamiri se bacha pae na hum
lag gaya aaKHir ko shahr-e-ghair ka pani hamein
muft mein baiThe biThae sari duniya dekh li
mil na pai thi kabhi aisi tan-asani hamein
KHud-pasandi dekhi teri KHud-sari bhi dekh li
aur kya dikhlaega ai dushman-e-jaani hamein
teri marzi ho to chakh len apni marzi ka maza
zindagi kar lene de thoDi si man-mani hamein
zindagi par band ho kar rah gae hain raste
kis jagah le aai hai is dil ki man-mani hamein
bawajud is ke parayon ke na dil ThanDe hue
be-tarah mahngi paDi apnon ki qurbani hamein
yun to ghar wale bulaya karte hain abdul-hasib
waise duniya kahti hai 'parwez'-rahmani hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.