kar gaya gosha-nashinon pe ye ehsan koi
kar gayā gosha-nashīnoñ pe ye ehsāñ koī
de gayā mashġhala-e-chāk-garebāñ koī
hai yahī shauq kī pastī-o-bulandī kā mizāj
farsh kī gard koī arsh kā mehmāñ koī
zo.af-o-himmat ke karishme haiñ che mumkin che muhāl
kaam mushkil hai koī aur na āsāñ koī
aaj vo din hai ki raushan hai shabistān-e-ḳhayāl
rok de baḌh ke zarā gardish-e-daurāñ koī
zulf-o-kākul kā fasāna ho kisī tarah darāz
is ḳham-o-pech meñ hai silsila-jumbāñ koī
aur bhī zaḳhm haiñ ai chāk-e-garebān-e-junūñ
tū hañse yā na hañse hogā numāyāñ koī
aise sahrā meñ jahāñ naḳhl kā saaya bhī na thā
baḌh gayā chhoḌ ke tanhā hameñ 'ehsāñ' koī
kar gaya gosha-nashinon pe ye ehsan koi
de gaya mashghala-e-chaak-gareban koi
hai yahi shauq ki pasti-o-bulandi ka mizaj
farsh ki gard koi arsh ka mehman koi
zoaf-o-himmat ke karishme hain che mumkin che muhaal
kaam mushkil hai koi aur na aasan koi
aaj wo din hai ki raushan hai shabistan-e-KHayal
rok de baDh ke zara gardish-e-dauran koi
zulf-o-kakul ka fasana ho kisi tarah daraaz
is KHam-o-pech mein hai silsila-jumban koi
aur bhi zaKHm hain ai chaak-e-gareban-e-junun
tu hanse ya na hanse hoga numayan koi
aise sahra mein jahan naKHl ka saya bhi na tha
baDh gaya chhoD ke tanha hamein 'ehsan' koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.