Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar gaya kya koi intiqal aadmi

Naushad Ashhar

kar gaya kya koi intiqal aadmi

Naushad Ashhar

MORE BYNaushad Ashhar

    kar gayā kyā koī intiqāl aadmī

    log kahte haiñ thā bā-kamāl aadmī

    apnī rif.at pe ḳhud hai daal aadmī

    shaan ye hai ki hai be-misāl aadmī

    baiTh jā.egā thak-hār kar ek din

    aur kuchh din karegā dhamāl aadmī

    sar pe hotī nahīñ jab ḳhushī key ridā

    oḌh letā hai kitne malāl aadmī

    karte karte savālāt hal jism ke

    ban gayā aaj ḳhud savāl aadmī

    duur kaisā hai aayā kahāñ DhūñDiye

    ab to milte nahīñ ḳhush-ḳhisāl aadmī

    aish-gāhoñ se niklo dikhā.eñ tumheñ

    ham ne dekhe haiñ ġham se niDhāl aadmī

    fikr us ko nahīñ par haqīqat hai ye

    har ghaḌī ho rahā pā.emāl aadmī

    ḳhaak hai ḳhaak meñ hai milnā use

    phir bhī kartā hai kyā kyā majāl aadmī

    ham parindoñ se 'ash.har' hai kyā dushmanī

    har qadam pe bichhātā hai jaal aadmī

    kar gaya kya koi intiqal aadmi

    log kahte hain tha ba-kamal aadmi

    apni rifat pe KHud hi hai dal aadmi

    shan ye hai ki hai be-misal aadmi

    baiTh jaega thak-haar kar ek din

    aur kuchh din karega dhamal aadmi

    sar pe hoti nahin jab KHushi key rida

    oDh leta hai kitne malal aadmi

    karte karte sawalat hal jism ke

    ban gaya aaj KHud hi sawal aadmi

    dur kaisa hai aaya kahan DhunDiye

    ab to milte nahin KHush-KHisal aadmi

    aish-gahon se niklo dikhaen tumhein

    hum ne dekhe hain gham se niDhaal aadmi

    fikr us ko nahin par haqiqat hai ye

    har ghaDi ho raha paemal aadmi

    KHak hai KHak hi mein hai milna use

    phir bhi karta hai kya kya majal aadmi

    hum parindon se 'ashhar' hai kya dushmani

    har qadam pe bichhata hai jal aadmi

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now